Junglee Ludo Mein, Hum gaming ko aapke liye fair aur enjoyable experience banane ke liye dedicated Hain. Hamare platform per advance technology ka use kiya jata hai taki har player ko ek safe aur secure ecosystem mil sake. Hamare pass responsible gaming ko promote karne ke liye system bhi hai aur yadi players ki habit badalne lagti hai to ham unhen gently guide bhi karte hain.
Apne budget ke anusar apna deposits banaye rakhein.
Ludo ko bataur pure entertainment Enjoy karein.
Hamare Ludo tutorial videos ki help se skill prapt karein.
Apne deposits ko kushalta se manage karne ke liye daily aur monthly limits set karein.
Wapas jayein aur recharge karein, especially jab aap ek losing streak par hon.
Aap Gaming me jo time spend kar rahe hote hen uska dhyan rakhein.
Deposit Limits
Apne kharche par nazar rakhne ke liye deposit limit set karna ek accha tareeka hai. Aap app par apni monthly/daily deposit limit set kar sakte hain
Self Exclusion
Yadi aap ek break lena chahte hei, aap aasani se apne account ko ek set period ke liye pause kar sakte hein—Aapki gaming habits ko manage karne ke ek effective tareeka.
EGF (E-Gaming Federation), ek not-for-profit organization hei jo Societies Regulation Act ke under establish ki gayi thi, taki Online Gaming Industry ko Bharat mein regulate kiya ja sake aur ek safe evam healthy gaming environment pradan Kiya ja sake, jahan sabhi players responsibility ke sath apni gaming ko enjoy kar Saken.
Responsible gaming ka matlab khelte samay fun ke sath-sath control banaye rahne se hei. Yah limits ko set karne, apne time aur money ko manage karne, sath hi yah bhi samajhne ke baare me hei ki gaming kab mazedaar nahi rah jaati hei.
Aap Hamare app ke “Help & Support” section mein jakar “Contact Support” feature ka use Karke humse kabhi bhi contact kar sakte hain. Hamare customer support representatives kuchh hi samay mein aapse contact karenge.
Aise Players jinme compulsive/problematic gaming behaviour ka koi bhi sign dikhayi deta hei, automatically hamare smart system dwara pahichan liye jaate hein aur unhen gaming se break lene ke liye frequent nudges bheje jaate hein.